gae mausamon ko bhula denge hum
ga.e mausamoñ ko bhulā deñge ham
khañDar kā diyā bhī bujhā deñge ham
abhī sirf chehroñ ko paḌhte raho
kahānī kisī din sunā deñge ham
dabī aag sunte haiñ bujhtī nahīñ
tujhe ḳhāk-e-dil ab uḌā deñge ham
zamāne hamārā suḳhan paas rakh
tujhe aur ġhurbat meñ kyā deñge ham
miTe habs-e-jāñ koī lab to hile
uḌī baat ko ab havā deñge ham
nazar ham pe rakhtā hai sahrā 'suhail'
ye Dar hai kahīñ gul khilā deñge ham
gae mausamon ko bhula denge hum
khanDar ka diya bhi bujha denge hum
abhi sirf chehron ko paDhte raho
kahani kisi din suna denge hum
dabi aag sunte hain bujhti nahin
tujhe KHak-e-dil ab uDa denge hum
zamane hamara suKHan pas rakh
tujhe aur ghurbat mein kya denge hum
miTe habs-e-jaan koi lab to hile
uDi baat ko ab hawa denge hum
nazar hum pe rakhta hai sahra 'suhail'
ye Dar hai kahin gul khila denge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.