gae sab bhul shikwe dekh ru-e-yar kya kahiye
gae sab bhul shikwe dekh ru-e-yar kya kahiye
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
ga.e sab bhuul shikve dekh rū-e-yār kyā kahiye
zabāñ hairat se merī ho ga.ī be-kār kyā kahiye
tabassum meñ jo us kā muñh khulā dil bañdh gayā vohīñ
mirā dil le gayā hañste hī hañste yaar kyā kahiye
agar us kī jagah pahlū meñ hotā ḳhaar behtar thā
bahut detā hai merā dil mujhe āzār kyā kahiye
jalā kar āshiyāñ is fasl-e-gul meñ bāġhbāñ merā
jahannum tū ne mujh par kar diyā gulzār kyā kahiye
'yaqīñ' ke vāqiye kī sun ḳhabar vo bad-gumāñ bolā
ye dīvāna to kuchh aisā na thā bīmār kyā kahiye
gae sab bhul shikwe dekh ru-e-yar kya kahiye
zaban hairat se meri ho gai be-kar kya kahiye
tabassum mein jo us ka munh khula dil bandh gaya wohin
mera dil le gaya hanste hi hanste yar kya kahiye
agar us ki jagah pahlu mein hota KHar behtar tha
bahut deta hai mera dil mujhe aazar kya kahiye
jala kar aashiyan is fasl-e-gul mein baghban mera
jahannum tu ne mujh par kar diya gulzar kya kahiye
'yaqin' ke waqiye ki sun KHabar wo bad-guman bola
ye diwana to kuchh aisa na tha bimar kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.