gae zamane ki surat badan churae wo
ga.e zamāne kī sūrat badan churā.e vo
na.ī rutoñ kī tarah se bhī muskurā.e vo
hazār merī nafī bhī kare vo merā hai
ki mere hone kā ehsās bhī dilā.e vo
har ek shaḳhs yahāñ apne dil kā mālik hai
maiñ laakh us ko bulā.ūñ magar na aa.e vo
havā kī āhaTeñ suntā huuñ dhaḌkanoñ kī tarah
misāl-e-sham.a mujhe rāt-bhar jagā.e vo
mire badan ko lahū-rañg pairahan bhī de
mirī qabā se mire zaḳhm bhī chhupā.e vo
mirī ragoñ kā lahū bint-e-am se miltā hai
maiñ apnā aap bhī dekhūñ to yaad aa.e vo
tamām raat guzārī hai kirchiyāñ chunte
sahar huī to nayā aa.ina dikhā.e vo
mirā vajūd kitāboñ meñ harf harf huā
ḳhudā kare mirī āvāz ban ke aa.e vo
vo ek sho.ala-e-javvāla jo chhue jal jaa.e
magar ḳhud apne hī saa.e se ḳhauf khaa.e vo
ye kyā ki mujh ko chhupāyā hai merī nazroñ se
kabhī to mujh ko mire sāmne bhī laa.e vo
maiñ apne aap se niklā to sāmne vo thā
aur ab ye soch rahā huuñ kahīñ ko jaa.e vo
palaT chukā huuñ varaq zindagī ke ai 'aḳhtar'
harīm-e-shab meñ dabe paañv phir bhī aa.e vo
gae zamane ki surat badan churae wo
nai ruton ki tarah se bhi muskurae wo
hazar meri nafi bhi kare wo mera hai
ki mere hone ka ehsas bhi dilae wo
har ek shaKHs yahan apne dil ka malik hai
main lakh us ko bulaun magar na aae wo
hawa ki aahaTen sunta hun dhaDkanon ki tarah
misal-e-shama mujhe raat-bhar jagae wo
mere badan ko lahu-rang pairahan bhi de
meri qaba se mere zaKHm bhi chhupae wo
meri ragon ka lahu bint-e-am se milta hai
main apna aap bhi dekhun to yaad aae wo
tamam raat guzari hai kirchiyan chunte
sahar hui to naya aaina dikhae wo
mera wajud kitabon mein harf harf hua
KHuda kare meri aawaz ban ke aae wo
wo ek shoala-e-jawwala jo chhue jal jae
magar KHud apne hi sae se KHauf khae wo
ye kya ki mujh ko chhupaya hai meri nazron se
kabhi to mujh ko mere samne bhi lae wo
main apne aap se nikla to samne wo tha
aur ab ye soch raha hun kahin ko jae wo
palaT chuka hun waraq zindagi ke ai 'aKHtar'
harim-e-shab mein dabe panw phir bhi aae wo
- Book : Auraaq (Pg. 43)
- Author : Nov. Dec. 1974
- Edition : Nov. Dec. 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.