Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gai yak-ba-yak jo hawa palaT nahin dil ko mere qarar hai

Bahadur Shah Zafar

gai yak-ba-yak jo hawa palaT nahin dil ko mere qarar hai

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

    ga.ī yak-ba-yak jo havā palaT nahīñ dil ko mere qarār hai

    karūñ us sitam ko maiñ kyā bayāñ mirā ġham se siina figār hai

    ye re.āyā-e-hind tabah huī kahūñ kyā jo in pe jafā huī

    jise dekhā hākim-e-vaqt ne kahā ye bhī qābil-e-dār hai

    ye kisī ne zulm bhī hai sunā ki phāñsī logoñ ko be-gunāh

    vahī kalma-goyoñ samt se abhī dil meñ un ke buḳhār hai

    na thā shahr-e-dehlī ye thā chaman kaho kis tarah thā yaañ aman

    jo ḳhitāb thā vo miTā diyā faqat ab to ujḌā dayār hai

    yahī tañg haal jo sab hai ye karishma qudrat-e-rab hai

    jo bahār thī so ḳhizāñ huī jo ḳhizāñ thī ab vo bahār hai

    shab-o-roz phuul meñ jo tule kaho ḳhār-e-ġham ko vo kyā sahe

    mile tauq qaid meñ jab unheñ kahā gul ke badle ye haar hai

    sabhī jaada mātam-e-saḳht hai kaho kaisī gardish-e-baḳht hai

    na vo taaj hai na vo taḳht hai na vo shaah hai na dayār hai

    jo sulūk karte the aur se vahī ab haiñ kitne zalīl se

    vo haiñ tañg charḳh ke jaur se rahā tan pe un ke na taar hai

    na vabāl tan pe hai sar mirā nahīñ jaan jaane Dar zarā

    kaTe ġham hii, nikle jo dam mirā mujhe apnī zindagī baar hai

    kyā hai ġham 'zafar' tujhe hashr jo ḳhudā ne chāhā to barmalā

    hameñ hai vasīla rasūl vo hamārā hāmī-e-kār hai

    gai yak-ba-yak jo hawa palaT nahin dil ko mere qarar hai

    karun us sitam ko main kya bayan mera gham se sina figar hai

    ye reaya-e-hind tabah hui kahun kya jo in pe jafa hui

    jise dekha hakim-e-waqt ne kaha ye bhi qabil-e-dar hai

    ye kisi ne zulm bhi hai suna ki di phansi logon ko be-gunah

    wahi kalma-goyon ki samt se abhi dil mein un ke buKHar hai

    na tha shahr-e-dehli ye tha chaman kaho kis tarah ka tha yan aman

    jo KHitab tha wo miTa diya faqat ab to ujDa dayar hai

    yahi tang haal jo sab ka hai ye karishma qudrat-e-rab ka hai

    jo bahaar thi so KHizan hui jo KHizan thi ab wo bahaar hai

    shab-o-roz phul mein jo tule kaho KHar-e-gham ko wo kya sahe

    mile tauq qaid mein jab unhen kaha gul ke badle ye haar hai

    sabhi jada matam-e-saKHt hai kaho kaisi gardish-e-baKHt hai

    na wo taj hai na wo taKHt hai na wo shah hai na dayar hai

    jo suluk karte the aur se wahi ab hain kitne zalil se

    wo hain tang charKH ke jaur se raha tan pe un ke na tar hai

    na wabaal tan pe hai sar mera nahin jaan jaane ka Dar zara

    kaTe gham hi, nikle jo dam mera mujhe apni zindagi bar hai

    kya hai gham 'zafar' tujhe hashr ka jo KHuda ne chaha to barmala

    hamein hai wasila rasul ka wo hamara hami-e-kar hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mukesh

    Mukesh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now