ghair dushman hue yaran-e-watan bhul gae
ġhair dushman hue yārān-e-vatan bhuul ga.e
aap jab se mujhe ai mushfiq-e-man bhuul ga.e
merī fariyād se baat ahl-e-suḳhan bhuul ga.e
zamzame naġhma-sarāyān-e-chaman bhuul ga.e
is qadar gardish-e-taqdīr se ghabrā ga.e ham
sadma-e-kajravī-e-charḳh-e-kuhan bhuul ga.e
kyā kaheñ ranj-e-ġharīb-ul-vatanī kī lazzat
shām-e-ġham dekhte hī sub.h-e-vatan bhuul ga.e
is qadar duur hue ālam-e-arvāh se ham
naam kyā sūrat-e-yārān-e-vatan bhuul ga.e
shab-e-furqat jo ḳhayāl aaya tirī āñkhoñ kā
saare āfāt ba-yak-chashm-zadan bhuul ga.e
ḳhaak meñ sauñpte hī baat na pūchhī afsos
ek hī roz meñ yārān-e-vatan bhuul ga.e
ruḳh-o-qadd-o-badan-o-ġhuncha-lab aisā bhāyā
ki ham ai 'rashk' gul-o-sarv-o-saman bhuul ga.e
ghair dushman hue yaran-e-watan bhul gae
aap jab se mujhe ai mushfiq-e-man bhul gae
meri fariyaad se baat ahl-e-suKHan bhul gae
zamzame naghma-sarayan-e-chaman bhul gae
is qadar gardish-e-taqdir se ghabra gae hum
sadma-e-kajrawi-e-charKH-e-kuhan bhul gae
kya kahen ranj-e-gharib-ul-watani ki lazzat
sham-e-gham dekhte hi subh-e-watan bhul gae
is qadar dur hue aalam-e-arwah se hum
nam kya surat-e-yaran-e-watan bhul gae
shab-e-furqat jo KHayal aaya teri aankhon ka
sare aafat ba-yak-chashm-zadan bhul gae
KHak mein saunpte hi baat na puchhi afsos
ek hi roz mein yaran-e-watan bhul gae
ruKH-o-qadd-o-badan-o-ghuncha-lab aisa bhaya
ki hum ai 'rashk' gul-o-sarw-o-saman bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.