ghair ke ghar hain wo mehman baDi mushkil hai
ġhair ke ghar haiñ vo mehmān baḌī mushkil hai
jaan jaane ke haiñ sāmān baḌī mushkil hai
kahte haiñ aap haiñ jis baat ke tālib ham se
hai vahī ġhair ko armān baḌī mushkil hai
aur phir kis se kahūñ hāl-e-pareshānī-e-dil
tum to hote ho pareshān baḌī mushkil hai
be-mile kaam bhī chaltā nahīñ milnā bhī zarūr
ġhair se jaan na pahchān baḌī mushkil hai
us ne lī jaan hazāroñ kī ye dam de de kar
ham pe marnā nahīñ āsān baḌī mushkil hai
vo uThā lete haiñ ye rakh rakh ke chhurī gardan par
kaam hotā nahīñ āsān baḌī mushkil hai
rāz-e-dil us but-e-bad-ḳhū se kahūñ yā na kahūñ
baat nāzuk hai vo nādān baḌī mushkil hai
roz kahte ho ki tū kis ke liye hai betāb
jaan kar bante ho anjān baḌī mushkil hai
dostī sahl nahīñ us but-e-bad-ḳhū se 'nasīm'
zid na kar dekh mirī jaan baḌī mushkil hai
ghair ke ghar hain wo mehman baDi mushkil hai
jaan jaane ke hain saman baDi mushkil hai
kahte hain aap hain jis baat ke talib hum se
hai wahi ghair ko arman baDi mushkil hai
aur phir kis se kahun haal-e-pareshani-e-dil
tum to hote ho pareshan baDi mushkil hai
be-mile kaam bhi chalta nahin milna bhi zarur
ghair se jaan na pahchan baDi mushkil hai
us ne li jaan hazaron ki ye dam de de kar
hum pe marna nahin aasan baDi mushkil hai
wo uTha lete hain ye rakh rakh ke chhuri gardan par
kaam hota nahin aasan baDi mushkil hai
raaz-e-dil us but-e-bad-KHu se kahun ya na kahun
baat nazuk hai wo nadan baDi mushkil hai
roz kahte ho ki tu kis ke liye hai betab
jaan kar bante ho anjaan baDi mushkil hai
dosti sahl nahin us but-e-bad-KHu se 'nasim'
zid na kar dekh meri jaan baDi mushkil hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 156)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.