ghair ke hath mein us shoKH ka daman hai aaj
ġhair ke haath meñ us shoḳh kā dāmān hai aaj
maiñ huuñ aur haath mirā aur ye garebān hai aaj
laTpaTī chaal khule baal ḳhumārī añkhiyāñ
maiñ tasadduq huuñ mirī jaan ye kyā aan hai aaj
kab talak rahiye tire hijr meñ pāband-e-libās
kījiye tark-e-ta'alluq hī ye armān hai aaj
aa.ine ko tirī sūrat se na ho kyuuñ hairat
dar o dīvār tujhe dekh ke hairān hai aaj
āshiyāñ baaġh meñ ābād thā kal bulbul kā
haa.e 'tābāñ' ye sabab kyā hai ki vīrān hai aaj
ghair ke hath mein us shoKH ka daman hai aaj
main hun aur hath mera aur ye gareban hai aaj
laTpaTi chaal khule baal KHumari ankhiyan
main tasadduq hun meri jaan ye kya aan hai aaj
kab talak rahiye tere hijr mein paband-e-libas
kijiye tark-e-ta'alluq hi ye arman hai aaj
aaine ko teri surat se na ho kyun hairat
dar o diwar tujhe dekh ke hairan hai aaj
aashiyan bagh mein aabaad tha kal bulbul ka
hae 'taban' ye sabab kya hai ki viran hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.