ghair ki bad-gumaniyon pe na ja
ġhair kī bad-gumāniyoñ pe na jā
be-haqīqat kahāniyoñ pe na jā
khīñch letā hai dāman-e-ehsās
phuul kī be-zabāniyoñ pe na jā
us kī ġhārat-garī ko dhyān meñ rakh
aql kī pāsbāniyoñ pe na jā
sabr kī dostī ko rakh malhūz
jabr kī hukmarāniyoñ pe na jā
ḳhubs-e-bātin ke zahr se bhī bach
mahz shīrīñ-bayāniyoñ pe na jā
mustaqil zulm kā mudāvā kar
aarzī mehrbāniyoñ pe na jā
ruuh kī bhī pukār sun 'aḳhtar'
jism kī kāmrāniyoñ pe na jā
ghair ki bad-gumaniyon pe na ja
be-haqiqat kahaniyon pe na ja
khinch leta hai daman-e-ehsas
phul ki be-zabaniyon pe na ja
us ki ghaarat-gari ko dhyan mein rakh
aql ki pasbaniyon pe na ja
sabr ki dosti ko rakh malhuz
jabr ki hukmaraniyon pe na ja
KHubs-e-baatin ke zahr se bhi bach
mahz shirin-bayaniyon pe na ja
mustaqil zulm ka mudawa kar
aarzi mehrbaniyon pe na ja
ruh ki bhi pukar sun 'aKHtar'
jism ki kaamraniyon pe na ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.