ghair mumkin hai ki ghaflat koi sayyaad kare
ġhair mumkin hai ki ġhaflat koī sayyād kare
kaun hogā jo mujhe qaid se āzād kare
ḳhauf aisā ki kahīñ phir na bhulā de mujh ko
sochtī huuñ ki kahīñ phir na mujhe yaad kare
zabt itnā ki maiñ dulhan bhī sajā saktī huuñ
shart itnī ki mohabbat se vo irshād kare
vo har ik baat se chāhe to mukar saktā hai
kyā zarūrī hai ki har baat pe hī saad kare
kaun kahtā hai mirā naam liyā hai us ne
us se kahnā ki zarā phir se vo irshād kare
ham tire sāmne rone bhī nahīñ ā.eñge
tū sitam roz nayā shauq se ījād kare
'nūr' rakhtī hai pahāḌoñ sā kaleja lekin
kyā kare yaad tujhe jab dil-e-barbād kare
ghair mumkin hai ki ghaflat koi sayyaad kare
kaun hoga jo mujhe qaid se aazad kare
KHauf aisa ki kahin phir na bhula de mujh ko
sochti hun ki kahin phir na mujhe yaad kare
zabt itna ki main dulhan bhi saja sakti hun
shart itni ki mohabbat se wo irshad kare
wo har ek baat se chahe to mukar sakta hai
kya zaruri hai ki har baat pe hi sad kare
kaun kahta hai mera nam liya hai us ne
us se kahna ki zara phir se wo irshad kare
hum tere samne rone bhi nahin aaenge
tu sitam roz naya shauq se ijad kare
'nur' rakhti hai pahaDon sa kaleja lekin
kya kare yaad tujhe jab dil-e-barbaad kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.