ghair puchhen bhi to hum kya apna afsana kahen
ġhair pūchheñ bhī to ham kyā apnā afsāna kaheñ
ab to ham vo haiñ jise apne bhī begāna kaheñ
vo bhī vaqt aayā ki dil meñ ye ḳhayāl aane lagā
aaj un se ham ġham-e-daurāñ kā afsāna kaheñ
kyā pukāre jā.eñge ham aise dīvāne vahāñ
hosh-mandoñ ko bhī jis mahfil meñ dīvāna kaheñ
shab ke āḳhir hote hote donoñ hī jab jal bujhe
kis ko samjheñ sham-e-mahfil kis ko parvāna kaheñ
aur kuchh kahnā to gustāḳhī hai shān-e-shaiḳh meñ
haañ magar nā-vāqif-e-ādāb-e-mai-ḳhāna kaheñ
aaj tanhā.ī meñ phir āñkhoñ se Tapkā hai lahū
jī ke bahlāne ko aao apnā afsāna kaheñ
un se raunaq qatl-gah kī un se garmī bazm kī
kahne vaale ahl-e-dil ko laakh dīvāna kaheñ
haiñ baham mauj-e-sharāb o sail-e-ashk o jū-e-ḳhūñ
lā.iq-e-sajda hai jis ko ḳhāk-e-mai-ḳhāna kaheñ
un kī is chīn-e-jabīñ kā kuchh taqāzā ho magar
kyā ġham-e-dil kī haqīqat ko bhī afsāna kaheñ
ghair puchhen bhi to hum kya apna afsana kahen
ab to hum wo hain jise apne bhi begana kahen
wo bhi waqt aaya ki dil mein ye KHayal aane laga
aaj un se hum gham-e-dauran ka afsana kahen
kya pukare jaenge hum aise diwane wahan
hosh-mandon ko bhi jis mahfil mein diwana kahen
shab ke aaKHir hote hote donon hi jab jal bujhe
kis ko samjhen sham-e-mahfil kis ko parwana kahen
aur kuchh kahna to gustaKHi hai shan-e-shaiKH mein
han magar na-waqif-e-adab-e-mai-KHana kahen
aaj tanhai mein phir aankhon se Tapka hai lahu
ji ke bahlane ko aao apna afsana kahen
un se raunaq qatl-gah ki un se garmi bazm ki
kahne wale ahl-e-dil ko lakh diwana kahen
hain baham mauj-e-sharab o sail-e-ashk o ju-e-KHun
laiq-e-sajda hai jis ko KHak-e-mai-KHana kahen
un ki is chin-e-jabin ka kuchh taqaza ho magar
kya gham-e-dil ki haqiqat ko bhi afsana kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.