ghair un ko lagae sine se
ġhair un ko lagā.e siine se
maut behtar hai aise jiine se
hosh meñ lā rahe haiñ vo mujh ko
gul-e-ruḳhsār ke pasīne se
ġhair kī baat par na jaao tum
kyoñ ulajhte ho us kamīne se
kitne andāz vo dikhāte haiñ
jab lagātā huuñ un ko siine se
bazm meñ kis kī aamad aamad hai
chīzeñ rakkhī haiñ sab qarīne se
garmī-e-husn duḳht-e-raz dekho
chhalkī paḌtī hai ābgīne se
ham hī the jo nibhā chuke barsoñ
ġhair aajiz hai do mahīne se
us jagah aur kaun baiThā hai
kyoñ hai inkār tum ko piine se
rūThe kab tak rahoge 'hājir' se
aao ab lag bhī jaao siine se
ghair un ko lagae sine se
maut behtar hai aise jine se
hosh mein la rahe hain wo mujh ko
gul-e-ruKHsar ke pasine se
ghair ki baat par na jao tum
kyon ulajhte ho us kamine se
kitne andaz wo dikhate hain
jab lagata hun un ko sine se
bazm mein kis ki aamad aamad hai
chizen rakkhi hain sab qarine se
garmi-e-husn duKHt-e-raz dekho
chhalki paDti hai aabgine se
hum hi the jo nibha chuke barson
ghair aajiz hai do mahine se
us jagah aur kaun baiTha hai
kyon hai inkar tum ko pine se
ruThe kab tak rahoge 'hajir' se
aao ab lag bhi jao sine se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.