ghairat-e-ishq salamat thi ana zinda thi
ġhairat-e-ishq salāmat thī anā zinda thī
vo bhī din the ki rah-o-rasm-e-vafā zinda thī
qais ko dosh na do rakhiyo na farhād ko naam
inhī logoñ se mohabbat kī adā zinda thī
shahr-e-bīmār ke har kūcha o baam o dar par
ham bhī marte the ki jab ḳhalq-e-ḳhudā zinda thī
bujh ga.iiñ sham.eñ to dam toḌ ga.e jhoñke bhī
jis tarah zahr-e-raqābat se havā zinda thī
yād-e-ayyām ki sahrā-e-mohabbat meñ 'farāz'
jaras-e-qāfila-e-dil kī sadā zinda thī
ghairat-e-ishq salamat thi ana zinda thi
wo bhi din the ki rah-o-rasm-e-wafa zinda thi
qais ko dosh na do rakhiyo na farhad ko nam
inhi logon se mohabbat ki ada zinda thi
shahr-e-bimar ke har kucha o baam o dar par
hum bhi marte the ki jab KHalq-e-KHuda zinda thi
bujh gain shamen to dam toD gae jhonke bhi
jis tarah zahr-e-raqabat se hawa zinda thi
yaad-e-ayyam ki sahra-e-mohabbat mein 'faraaz'
jaras-e-qafila-e-dil ki sada zinda thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.