ghairon ka us taraf se guzara na jaega
ġhairoñ kā us taraf se guzāra na jā.egā
jab tak ki ek do kahīñ maarā na jā.egā
nargis ugegī sabze kī jā ḳhaak se mirī
yāroñ kā marne par bhī nazāra na jā.egā
ye dil hai laḌkoñ kā na gharauñdā samajh ise
bigḌā to phir kisī se sañvārā na jā.egā
ghar par raqīb-e-ḳhāna-bar-andāz ke 'razā'
hogā agar tū yaar hamārā na jā.egā
ghairon ka us taraf se guzara na jaega
jab tak ki ek do kahin mara na jaega
nargis ugegi sabze ki ja KHak se meri
yaron ka marne par bhi nazara na jaega
ye dil hai laDkon ka na gharaunda samajh ise
bigDa to phir kisi se sanwara na jaega
ghar par raqib-e-KHana-bar-andaz ke 'raza'
hoga agar tu yar hamara na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.