ghairon ke jab bhi lutf-o-karam yaad aa gae
ġhairoñ ke jab bhī lutf-o-karam yaad aa ga.e
apnoñ ne jo kiye the sitam yaad aa ga.e
ahd-e-vafā kisī ne kiyā jab kisī ke saath
ham ko tumhāre qaul-o-qasam yaad aa ga.e
rah rah ke aa rahī haiñ ye kyoñ aaj hichkiyāñ
kis ko parā.e des meñ ham yaad aa ga.e
phir dil udaas udaas hai maazī kī yaad se
jo ġham bhulā chuke the vo ġham yaad aa ga.e
bādal jo barse TuuT ke ai 'purnam'-e-hazīñ
un ko hamāre dīda-e-nam yaad aa ga.e
ghairon ke jab bhi lutf-o-karam yaad aa gae
apnon ne jo kiye the sitam yaad aa gae
ahd-e-wafa kisi ne kiya jab kisi ke sath
hum ko tumhaare qaul-o-qasam yaad aa gae
rah rah ke aa rahi hain ye kyon aaj hichkiyan
kis ko parae des mein hum yaad aa gae
phir dil udas udas hai mazi ki yaad se
jo gham bhula chuke the wo gham yaad aa gae
baadal jo barse TuT ke ai 'purnam'-e-hazin
un ko hamare dida-e-nam yaad aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.