ghalat batate ho tum salaf ki shujaaten sab
ġhalat batāte ho tum salaf kī shujā.ateñ sab
to aao dariyā meñ ġharq kar deñ hikāyateñ sab
ye sochtā huuñ maiñ paḌh rahā huuñ kitāb kaisī
dhuāñ dhuāñ haiñ laboñ ko chhūkar ibārateñ sab
nizām-e-insāf-o-adl par ye na jaane kaisā zavāl aayā
barahna ho kar sisak rahī haiñ sadāqateñ sab
jo fan ko bakvās kahne vaale sunā.īñ ġhazleñ
giro kahīñ jā ke tum bhī rakh do samā.ateñ sab
chalo ki ham bhī murāja.at ke bahāne DhūñDeñ
yaqīñ ko pāmāl kar chukī haiñ masāfateñ sab
bulandiyoñ ke safar kī mujh ko na daad dījiye
haiñ salb mere dimāġh-o-bāzū kī tāqateñ sab
jo lutf lenā hai mashq-navā.ī kī intihā kā
ubhāro ḳhud meñ mire qabīle kī ādateñ sab
ye kis ne un ko qalam kā apne hadaf banāyā
vaqār khone lagī haiñ 'aslam' alāmateñ sab
ghalat batate ho tum salaf ki shujaaten sab
to aao dariya mein gharq kar den hikayaten sab
ye sochta hun main paDh raha hun kitab kaisi
dhuan dhuan hain labon ko chhukar ibaraten sab
nizam-e-insaf-o-adl par ye na jaane kaisa zawal aaya
barahna ho kar sisak rahi hain sadaqaten sab
jo fan ko bakwas kahne wale sunain ghazlen
giro kahin ja ke tum bhi rakh do samaaten sab
chalo ki hum bhi murajat ke bahane DhunDen
yaqin ko pamal kar chuki hain masafaten sab
bulandiyon ke safar ki mujh ko na dad dijiye
hain salb mere dimagh-o-bazu ki taqaten sab
jo lutf lena hai mashq-nawai ki intiha ka
ubhaaro KHud mein mere qabile ki aadaten sab
ye kis ne un ko qalam ka apne hadaf banaya
waqar khone lagi hain 'aslam' alamaten sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.