gale pe ek KHanjar aab-dar kis ka hai
gale pe ik ḳhanjar āb-dār kis kā hai
ye roz roz mirī jaañ pe vaar kis kā hai
hai kaun sāzish-e-gard-o-ġhubār ke pīchhe
pas-e-sumūm-e-junūñ regzār kis kā hai
dhamak-zada haiñ ḳhalāoñ meñ bastiyāñ kis kī
shikasta sar pe makāñ intishār kis kā hai
chamakte rañg khile naqsh ā.īna chehre
to aaj naqsh-e-nazar par ye baar kis kā hai
sarāb-o-dasht zamān-o-makān sab yaksāñ
hameñ bhī dahr meñ ab e'tibār kis kā hai
hai kaun dil kī adā-e-talab se nā-vāqif
baġhair naġhma laraztā hai taar kis kā hai
koī nahīñ hai agar daftar-e-taḳhātub meñ
to phir ye harf ye qaul-o-qarār kis kā hai
palaT ke aa.ī hai maqtal meñ zindagī 'rāhat'
faqīh-e-shahr ko ab intizār kis kā hai
gale pe ek KHanjar aab-dar kis ka hai
ye roz roz meri jaan pe war kis ka hai
hai kaun sazish-e-gard-o-ghubar ke pichhe
pas-e-sumum-e-junun regzar kis ka hai
dhamak-zada hain KHalaon mein bastiyan kis ki
shikasta sar pe makan intishaar kis ka hai
chamakte rang khile naqsh aaina chehre
to aaj naqsh-e-nazar par ye bar kis ka hai
sarab-o-dasht zaman-o-makan sab yaksan
hamein bhi dahr mein ab e'tibar kis ka hai
hai kaun dil ki ada-e-talab se na-waqif
baghair naghma larazta hai tar kis ka hai
koi nahin hai agar daftar-e-taKHatub mein
to phir ye harf ye qaul-o-qarar kis ka hai
palaT ke aai hai maqtal mein zindagi 'rahat'
faqih-e-shahr ko ab intizar kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.