gali gali hai andhera to mere sath chalo
galī galī hai añdherā to mere saath chalo
tumheñ ḳhayāl hai merā to mere saath chalo
maiñ jā rahā huuñ ujāloñ kī justujū ke liye
satā rahā ho añdherā to mere saath chalo
junūñ ke dasht meñ ik chhāvnī basā leñge
nahīñ hai koī baserā to mere saath chalo
maiñ rāhzan huuñ magar āshnā-e-manzil-e-dil
jo rāhbar hai luTerā to mere saath chalo
qadam qadam pe jalātā chalūñgā dil ke charāġh
jo rāsta hai añdherā to mere saath chalo
agar chaman se ziyāda pasand hai tum ko
ġharīb-e-dasht kā Derā to mere saath chalo
'shamīm' zulmat-e-daurāñ se jañg hai darpesh
jo chāhtā ho saverā to mere saath chalo
gali gali hai andhera to mere sath chalo
tumhein KHayal hai mera to mere sath chalo
main ja raha hun ujalon ki justuju ke liye
sata raha ho andhera to mere sath chalo
junun ke dasht mein ek chhawni basa lenge
nahin hai koi basera to mere sath chalo
main rahzan hun magar aashna-e-manzil-e-dil
jo rahbar hai luTera to mere sath chalo
qadam qadam pe jalata chalunga dil ke charagh
jo rasta hai andhera to mere sath chalo
agar chaman se ziyaada pasand hai tum ko
gharib-e-dasht ka Dera to mere sath chalo
'shamim' zulmat-e-dauran se jang hai darpesh
jo chahta ho sawera to mere sath chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.