gali gali ki Thokar khai kab se KHwar o pareshan hain
gali gali ki Thokar khai kab se KHwar o pareshan hain
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
galī galī kī Thokar khaa.ī kab se ḳhvār o pareshāñ haiñ
yaañ apnā hī hosh nahīñ hai kis ko chaah ke armāñ haiñ
fursat ho to aa ke dekho ham āvāra-gardoñ ko
kitne ġhubār haiñ is dāman meñ kitne dil meñ tūfāñ haiñ
sab hī un kā adab karte haiñ chāhne vaalā koī nahīñ
Tokā ik gustāḳh ko lekin ab vo ḳhud hī pashemāñ haiñ
sar jo jhukā us shoḳh ke aage aur kahīñ phir jhuk na sakā
maslak-e-mehr-o-vafā meñ vaa.iz ham kāfir bhī musalmāñ haiñ
kuchh ko mudāvā karnā hogā is āshufta-mizājī kā
ai ġham-e-jānāñ! apne parā.e sab hī tujh se nālāñ haiñ
vaadī o sahrā chhoḌ ke jab se tere shahr meñ aan base
jañgal jañgal DhūñDte phirte ham ko saare ġhazālāñ haiñ
ahl-e-zamāna ko bas merī ik rusvā.ī yaad rahī
varna merī vafā ke jaane kitne aur bhī unvāñ haiñ
ham ne apnī or se ḳhūbāñ kab tum ko bad-nām kiyā
tum ne jo jo daaġh diye haiñ vo chhātī pe numāyāñ haiñ
ḳhair se ab ke ahl-e-sitam ko dīvānoñ se kaam paḌā
dekheñ kitnī zanjīreñ haiñ dekheñ kitne zindāñ haiñ
jo pāmāl-e-ḳhizāñ haiñ ik din ḳhāk-e-chaman se uTTheñge
un kā hashr na jaane kyā ho jo maqtūl-e-bahārāñ haiñ
Dar na rahā mauj-e-balā kā ruḳh bhī phirā duniyā kī havā kā
ronā kyā hai dukh sāgar kā us ke ham par ehsāñ haiñ
ik ik buuñd jalī hai lahū kī tab jā kar ye raat kaTī
tere liye ai sub.h-e-tarab ham kab se chāk-garebāñ haiñ
'mīr' kā tarz apnāyā sab ne lekin ye andāz kahāñ
'āzmī'-sāhib aap kī ġhazleñ sun sun kar sab hairāñ haiñ
gali gali ki Thokar khai kab se KHwar o pareshan hain
yan apna hi hosh nahin hai kis ko chah ke arman hain
fursat ho to aa ke dekho hum aawara-gardon ko
kitne ghubar hain is daman mein kitne dil mein tufan hain
sab hi un ka adab karte hain chahne wala koi nahin
Toka ek gustaKH ko lekin ab wo KHud hi pasheman hain
sar jo jhuka us shoKH ke aage aur kahin phir jhuk na saka
maslak-e-mehr-o-wafa mein waiz hum kafir bhi musalman hain
kuchh ko mudawa karna hoga is aashufta-mizaji ka
ai gham-e-jaanan! apne parae sab hi tujh se nalan hain
wadi o sahra chhoD ke jab se tere shahr mein aan base
jangal jangal DhunDte phirte hum ko sare ghazalan hain
ahl-e-zamana ko bas meri ek ruswai yaad rahi
warna meri wafa ke jaane kitne aur bhi unwan hain
hum ne apni or se KHuban kab tum ko bad-nam kiya
tum ne jo jo dagh diye hain wo chhati pe numayan hain
KHair se ab ke ahl-e-sitam ko diwanon se kaam paDa
dekhen kitni zanjiren hain dekhen kitne zindan hain
jo pamal-e-KHizan hain ek din KHak-e-chaman se uTThenge
un ka hashr na jaane kya ho jo maqtul-e-bahaaran hain
Dar na raha mauj-e-bala ka ruKH bhi phira duniya ki hawa ka
rona kya hai dukh sagar ka us ke hum par ehsan hain
ek ek bund jali hai lahu ki tab ja kar ye raat kaTi
tere liye ai subh-e-tarab hum kab se chaak-gareban hain
'mir' ka tarz apnaya sab ne lekin ye andaz kahan
'azmi'-sahib aap ki ghazlen sun sun kar sab hairan hain
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 50)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.