gali mein dard ke purze talash karti thi
galī meñ dard ke purze talāsh kartī thī
mire ḳhutūt ke TukḌe talāsh kartī thī
kahāñ ga.ī vo kuñvārī udaas bī-āpā
jo gaañv gaañv meñ rishte talāsh kartī thī
bhulā.e kaun aziyyat-pasañdiyāñ us kī
ḳhushī ke Dher meñ sadme talāsh kartī thī
ajiib hijr-parastī thī us kī fitrat meñ
shajar ke TūTte patte talāsh kartī thī
qayām kartī thī vo mujh meñ sūfiyoñ kī tarah
udaas ruuh ke goshe talāsh kartī thī
tamām raat ko parde haTā ke chāñd ke saath
jo kho ga.e the vo lamhe talāsh kartī thī
kuchh is liye bhī mire ghar se us ko thī vahshat
yahāñ bhī apne hī pyāre talāsh kartī thī
ghumā-phirā ke judā.ī kī baat kartī thī
hamesha hijr ke harbe talāsh kartī thī
tamām raat vo zaḳhma ke apne poroñ ko
mire vajūd ke reze talāsh kartī thī
duā.eñ kartī thī ujḌe hue mazāroñ par
baḌe ajiib sahāre talāsh kartī thī
mujhe to aaj batāyā hai bādaloñ ne 'vasī'
vo lauT aane ke raste talāsh kartī thī
gali mein dard ke purze talash karti thi
mere KHutut ke TukDe talash karti thi
kahan gai wo kunwari udas bi-apa
jo ganw ganw mein rishte talash karti thi
bhulae kaun aziyyat-pasandiyan us ki
KHushi ke Dher mein sadme talash karti thi
ajib hijr-parasti thi us ki fitrat mein
shajar ke TuTte patte talash karti thi
qayam karti thi wo mujh mein sufiyon ki tarah
udas ruh ke goshe talash karti thi
tamam raat ko parde haTa ke chand ke sath
jo kho gae the wo lamhe talash karti thi
kuchh is liye bhi mere ghar se us ko thi wahshat
yahan bhi apne hi pyare talash karti thi
ghuma-phira ke judai ki baat karti thi
hamesha hijr ke harbe talash karti thi
tamam raat wo zaKHma ke apne poron ko
mere wajud ke reze talash karti thi
duaen karti thi ujDe hue mazaron par
baDe ajib sahaare talash karti thi
mujhe to aaj bataya hai baadalon ne 'wasi'
wo lauT aane ke raste talash karti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.