gham ata kar ki shadmani de
ġham atā kar ki shādmānī de
jo bhī de mujh ko jāvedānī de
muskurāte haiñ choT khā kar bhī
kuchh to in.ām-e-zindagānī de
rah gayā kaun qadr-dāñ baaqī
kis ko āvāz-e-ḳhush-bayānī de
ham se un kā gurez hai jaa.ez
kyā maza dukh-bharī kahānī de
dhyān kyā de koī tirī jānib
lutf kab tak ġhazal purānī de
aaj tak kitne phal diye us ne
kaun aise shajar ko paanī de
gham ata kar ki shadmani de
jo bhi de mujh ko jawedani de
muskuraate hain choT kha kar bhi
kuchh to inam-e-zindagani de
rah gaya kaun qadr-dan baqi
kis ko aawaz-e-KHush-bayani de
hum se un ka gurez hai jaez
kya maza dukh-bhari kahani de
dhyan kya de koi teri jaanib
lutf kab tak ghazal purani de
aaj tak kitne phal diye us ne
kaun aise shajar ko pani de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.