gham chhapaun ki aashkar karun
ġham chhapā.ūñ ki āshkār karūñ
kaun sī vaz.a iḳhtiyār karūñ
hādsoñ se nigāh chaar karūñ
ġham ke lamhoñ ko shāhkār karūñ
aur kyā hai jo nazr-e-yār karūñ
jī meñ aatā hai jāñ-nisār karūñ
zindagī ko hī jab sabāt nahīñ
aur phir kis kā e.atibār karūñ
tum bhī mahbūb zindagī bhī aziiz
tum ko chāhūñ ki ḳhud se pyaar karūñ
aur bhī mashġhale haiñ vahshat ke
kyoñ garebāñ hī taar taar karūñ
kyā qayāmat se kam hai shām-e-firāq
aur kis din kā intizār karūñ
har sahārā hai jab tirā muhtāj
kyoñ sahāroñ pe inhisār karūñ
'zabt' jab zabt-e-ġham kī hai tākīd
kyoñ na ye jabr iḳhtiyār karūñ
gham chhapaun ki aashkar karun
kaun si waza iKHtiyar karun
hadson se nigah chaar karun
gham ke lamhon ko shahkar karun
aur kya hai jo nazr-e-yar karun
ji mein aata hai jaan-nisar karun
zindagi ko hi jab sabaat nahin
aur phir kis ka eatibar karun
tum bhi mahbub zindagi bhi aziz
tum ko chahun ki KHud se pyar karun
aur bhi mashghale hain wahshat ke
kyon gareban hi tar tar karun
kya qayamat se kam hai sham-e-firaq
aur kis din ka intizar karun
har sahaara hai jab tera muhtaj
kyon sahaaron pe inhisar karun
'zabt' jab zabt-e-gham ki hai takid
kyon na ye jabr iKHtiyar karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.