gham chhupane mein waqt lagta hai
ġham chhupāne meñ vaqt lagtā hai
muskurāne meñ vaqt lagtā hai
ruuTh jaane kā koī vaqt nahīñ
par manāne meñ vaqt lagtā hai
zid kā bistar sameTiye dilbar
ghar basāne meñ vaqt lagtā hai
jā ke aane kī baat mat kiije
jaane aane meñ vaqt lagtā hai
aazmā mat, bharosa kar mujh par
āzmāne meñ vaqt lagtā hai
yak-ba-yak bhūlnā hai nā-mumkin
bhuul jaane meñ vaqt lagtā hai
vo abhī ban sañvar rahī hogī
us ko aane meñ vaqt lagtā hai
jaam piite haiñ jo nazar se unheñ
jaam uThāne meñ vaqt lagtā hai
beTiyoñ ko bachā ke rakhiye 'kañval'
in ko paane meñ vaqt lagtā hai
gham chhupane mein waqt lagta hai
muskurane mein waqt lagta hai
ruTh jaane ka koi waqt nahin
par manane mein waqt lagta hai
zid ka bistar sameTiye dilbar
ghar basane mein waqt lagta hai
ja ke aane ki baat mat kije
jaane aane mein waqt lagta hai
aazma mat, bharosa kar mujh par
aazmane mein waqt lagta hai
yak-ba-yak bhulna hai na-mumkin
bhul jaane mein waqt lagta hai
wo abhi ban sanwar rahi hogi
us ko aane mein waqt lagta hai
jam pite hain jo nazar se unhen
jam uThane mein waqt lagta hai
beTiyon ko bacha ke rakhiye 'kanwal'
in ko pane mein waqt lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.