gham-e-ashiqi se baDh kar gham-e-zindagi nahin hai
ġham-e-āshiqī se baḌh kar ġham-e-zindagī nahīñ hai
maiñ tire karam ke qurbāñ mujhe kuchh kamī nahīñ hai
mire jān-o-dil ke mālik mujhe be-niyāz-e-ġham kar
kisī aur dar pe hargiz ye jabīñ jhukī nahīñ hai
mire shahr-e-jān-o-dil meñ vo ziyā bikherte haiñ
mirā qalb hai mujallā yahāñ tīrgī nahīñ hai
ai amīr-e-shahr-e-shādāñ mujhe apne paas rakhnā
tire dar se duur rah kar koī zindagī nahīñ hai
vahī chāra-e-vafā hai jahāñ dil ho kār-farmā
jahāñ aql hukmrāñ ho rah-e-āshiqī nahīñ hai
ye hai rāz-e-ishq-o-ulfat na samajh sakegā vaa.iz
jahāñ tīrgī nahīñ hai vahāñ raushnī nahīñ hai
sunī dukh-bharī kahānī mujhe bāryāb kar ke
mire dil meñ ab tamanna koī dūsrī nahīñ hai
gham-e-ashiqi se baDh kar gham-e-zindagi nahin hai
main tere karam ke qurban mujhe kuchh kami nahin hai
mere jaan-o-dil ke malik mujhe be-niyaz-e-gham kar
kisi aur dar pe hargiz ye jabin jhuki nahin hai
mere shahr-e-jaan-o-dil mein wo ziya bikherte hain
mera qalb hai mujalla yahan tirgi nahin hai
ai amir-e-shahr-e-shadan mujhe apne pas rakhna
tere dar se dur rah kar koi zindagi nahin hai
wahi chaara-e-wafa hai jahan dil ho kar-farma
jahan aql hukmran ho rah-e-ashiqi nahin hai
ye hai raaz-e-ishq-o-ulfat na samajh sakega waiz
jahan tirgi nahin hai wahan raushni nahin hai
suni dukh-bhari kahani mujhe baryab kar ke
mere dil mein ab tamanna koi dusri nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.