gham-e-bahaar mein rah-e-KHizan se guzre hain
ġham-e-bahār meñ rāh-e-ḳhizāñ se guzre haiñ
diloñ ke qāfile har imtihāñ se guzre haiñ
junūñ kī raushnī le kar nigāhbān-e-hayāt
hudūd-e-zulmat-e-vahm-o-gumāñ se guzre haiñ
charāġh ban ke jale haiñ rah-e-tamannā meñ
bahār ban ke tire gulsitāñ se guzre haiñ
vahāñ nigāh-e-talātum pahuñch nahīñ saktī
sitam-kashoñ ke safīne jahāñ se guzre haiñ
musāfirān-e-haram ko ḳhabar nahīñ ab tak
balā-kashān-e-mohabbat kahāñ se guzre haiñ
tirī talāsh meñ dair-o-haram kā zikr hī kyā
tirī talāsh meñ har āstāñ se guzre haiñ
hameñ to un ke sitam bhī garāñ nahīñ 'fārūq'
mizāj-e-nāz pe shikve garāñ se guzre haiñ
gham-e-bahaar mein rah-e-KHizan se guzre hain
dilon ke qafile har imtihan se guzre hain
junun ki raushni le kar nigahban-e-hayat
hudud-e-zulmat-e-wahm-o-guman se guzre hain
charagh ban ke jale hain rah-e-tamanna mein
bahaar ban ke tere gulsitan se guzre hain
wahan nigah-e-talatum pahunch nahin sakti
sitam-kashon ke safine jahan se guzre hain
musafiran-e-haram ko KHabar nahin ab tak
bala-kashan-e-mohabbat kahan se guzre hain
teri talash mein dair-o-haram ka zikr hi kya
teri talash mein har aastan se guzre hain
hamein to un ke sitam bhi garan nahin 'faruq'
mizaj-e-naz pe shikwe garan se guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.