gham-e-dauran gham-e-jaanan ka nishan hai ki jo tha
gham-e-dauran gham-e-jaanan ka nishan hai ki jo tha
Syed Aabid Ali Aabid
MORE BYSyed Aabid Ali Aabid
ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ kā nishāñ hai ki jo thā
vasf-e-ḳhūbāñ ba-hadīs-e-digarāñ hai ki jo thā
lazzat-e-arz-e-vafā rāhat-e-jāñ hai ki jo thī
dil-tapāñ ashk-e-ravāñ shauq-e-javāñ hai ki jo thā
shar'-o-ā.īn kī ta.azīr ke bā-vasf shabāb
lab-o-ruḳhsār kī jānib nigarāñ hai ki jo thā
mere paaoñ se haiñ uljhe hue resham ke se taar
hamdamo ye to vahī band-e-girāñ hai ki jo thā
'ishq kī tarz-e-takallum vahī chup hai ki jo thī
lab-e-ḳhush-gū-e-havas mahv-e-bayāñ hai ki jo thā
rāh-rau dasht meñ fariyād-kunāñ haiñ ki jo thā
ḳhanda-zan qāfila rāh-e-barāñ hai ki jo thā
muġhbache ḳhush haiñ ki bazm un kī hai saaqī un kā
bar-sar-e-kār vahī pīr-e-muġhāñ hai ki jo thā
jalva-e-yār se kyā shikva-e-be-jā kiije
shauq-e-dīdār kā 'ālam vo kahāñ hai ki jo thā
halqa-e-vāz se ab tak hai gurezāñ duniyā
halqa-e-zulf madār-e-do-jahāñ hai ki jo thā
mere hañsne pe ḳhafā the mire rone pe hañse
vahī rañg-e-sitam ishva-girāñ hai ki jo thā
sañg-e-tiflāñ se zarā bach ke rahe qasr-e-buland
ye vahī kār-gah-e-shīsha-garāñ hai ki jo thā
dosto ham-nafaso sunte ho 'ābid' kī ġhazal
ye vahī sho.ala-navā soḳhta-jāñ hai ki jo thā
gham-e-dauran gham-e-jaanan ka nishan hai ki jo tha
wasf-e-KHuban ba-hadis-e-digaran hai ki jo tha
lazzat-e-arz-e-wafa rahat-e-jaan hai ki jo thi
dil-tapan ashk-e-rawan shauq-e-jawan hai ki jo tha
shar'-o-ain ki tazir ke ba-wasf shabab
lab-o-ruKHsar ki jaanib nigaran hai ki jo tha
mere paon se hain uljhe hue resham ke se tar
hamdamo ye to wahi band-e-giran hai ki jo tha
'ishq ki tarz-e-takallum wahi chup hai ki jo thi
lab-e-KHush-gu-e-hawas mahw-e-bayan hai ki jo tha
rah-rau dasht mein fariyaad-kunan hain ki jo tha
KHanda-zan qafila rah-e-baran hai ki jo tha
mughbache KHush hain ki bazm un ki hai saqi un ka
bar-sar-e-kar wahi pir-e-mughan hai ki jo tha
jalwa-e-yar se kya shikwa-e-be-ja kije
shauq-e-didar ka 'alam wo kahan hai ki jo tha
halqa-e-waz se ab tak hai gurezan duniya
halqa-e-zulf madar-e-do-jahan hai ki jo tha
mere hansne pe KHafa the mere rone pe hanse
wahi rang-e-sitam ishwa-giran hai ki jo tha
sang-e-tiflan se zara bach ke rahe qasr-e-buland
ye wahi kar-gah-e-shisha-garan hai ki jo tha
dosto ham-nafaso sunte ho 'abid' ki ghazal
ye wahi shoala-nawa soKHta-jaan hai ki jo tha
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 697)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.