gham-e-dil ka bayan chhoD gae
ġham-e-dil kā bayān chhoḌ ga.e
ham ye apnā nishān chhoḌ ga.e
tirī dahshat se baaġh meñ sayyād
murġh sab āshiyān chhoḌ ga.e
raah meñ mujh ko ham-rahāñ mere
jaan ko nā-tavān chhoḌ ga.e
nafrat aa.ī sag-o-humā ko kyā
jo mire ustuḳhvān chhoḌ ga.e
chalte chalte bhī ye jafā-keshāñ
haath mujh par nidān chhoḌ ga.e
kisī dar par unhoñ ko jā na milī
jo tirā āstān chhoḌ ga.e
safar is dil se kar ga.e ġham-o-dard
yaar suunā makān chhoḌ ga.e
saf.ha-e-rozgār par likh likh
ishq kī dāstān chhoḌ ga.e
le ga.e sab badan zamīñ meñ ham
'mus.hafī' ik zabān chhoḌ ga.e
gham-e-dil ka bayan chhoD gae
hum ye apna nishan chhoD gae
teri dahshat se bagh mein sayyaad
murgh sab aashiyan chhoD gae
rah mein mujh ko ham-rahan mere
jaan ko na-tawan chhoD gae
nafrat aai sag-o-huma ko kya
jo mere ustuKHwan chhoD gae
chalte chalte bhi ye jafa-keshan
hath mujh par nidan chhoD gae
kisi dar par unhon ko ja na mili
jo tera aastan chhoD gae
safar is dil se kar gae gham-o-dard
yar suna makan chhoD gae
safha-e-rozgar par likh likh
ishq ki dastan chhoD gae
le gae sab badan zamin mein hum
'mushafi' ek zaban chhoD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.