gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin
gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin
Altaf Hussain Hali
MORE BYAltaf Hussain Hali
ġham-e-furqat hī meñ marnā ho to dushvār nahīñ
shādi-e-vasl bhī āshiq ko sazā-vār nahīñ
ḳhūb-rūī ke liye zishtī-e-ḳhū bhī hai zarūr
sach to ye hai ki koī tujh sā tarah-dār nahīñ
qaul dene meñ ta.ammul na qasam se inkār
ham ko sachchā nazar aatā koī iqrār nahīñ
kal ḳharābāt meñ ik goshe se aatī thī sadā
dil meñ sab kuchh hai magar ruḳhsat-e-guftār nahīñ
haq huā kis se adā us kī vafādārī kā
jis ke nazdīk jafā bā.is-e-āzār nahīñ
dekhte haiñ ki pahuñchtī hai vahāñ kaun sī raah
ka.aba o dair se kuchh ham ko sarokār nahīñ
hoñge qaa.il vo abhī matla-e-sānī sun kar
jo tajallī meñ ye kahte haiñ ki takrār nahīñ
gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin
shadi-e-wasl bhi aashiq ko saza-war nahin
KHub-rui ke liye zishti-e-KHu bhi hai zarur
sach to ye hai ki koi tujh sa tarah-dar nahin
qaul dene mein tammul na qasam se inkar
hum ko sachcha nazar aata koi iqrar nahin
kal KHarabaat mein ek goshe se aati thi sada
dil mein sab kuchh hai magar ruKHsat-e-guftar nahin
haq hua kis se ada us ki wafadari ka
jis ke nazdik jafa bais-e-azar nahin
dekhte hain ki pahunchti hai wahan kaun si rah
kaba o dair se kuchh hum ko sarokar nahin
honge qail wo abhi matla-e-sani sun kar
jo tajalli mein ye kahte hain ki takrar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.