gham-e-furqat saha nahin jata
ġham-e-furqat sahā nahīñ jaatā
roz mar kar jiyā nahīñ jaatā
ḳhizr se bhī rah-e-mohabbat meñ
saath mere chalā nahīñ jaatā
ho ga.ī zo.af kī bhī had dil meñ
dard se bhī uThā nahīñ jaatā
ab ye sūrat hai mere rone par
ġhair se bhī hañsā nahīñ jaatā
qabr meñ saath hai tirī hasrat
varna tanhā rahā nahīñ jaatā
ab to ham se tire baġhair mile
ḳhaak meñ bhī milā nahīñ jaatā
dil to jaatā hai shauq meñ tere
shauq dil se tirā nahīñ jaatā
kitnā kam-zarf hai tirā paikāñ
ḳhūn-e-dil bhī piyā nahīñ jaatā
vo to jaate haiñ dil se ai ġham-e-yār
tū bhī jaatā hai yā nahīñ jaatā
ab to ye haal hai ki un se bhī
haal merā sunā nahīñ jaatā
vo umangeñ nahīñ magar 'mahmūd'
tāknā jhāñknā nahīñ jaatā
gham-e-furqat saha nahin jata
roz mar kar jiya nahin jata
KHizr se bhi rah-e-mohabbat mein
sath mere chala nahin jata
ho gai zoaf ki bhi had dil mein
dard se bhi uTha nahin jata
ab ye surat hai mere rone par
ghair se bhi hansa nahin jata
qabr mein sath hai teri hasrat
warna tanha raha nahin jata
ab to hum se tere baghair mile
KHak mein bhi mila nahin jata
dil to jata hai shauq mein tere
shauq dil se tera nahin jata
kitna kam-zarf hai tera paikan
KHun-e-dil bhi piya nahin jata
wo to jate hain dil se ai gham-e-yar
tu bhi jata hai ya nahin jata
ab to ye haal hai ki un se bhi
haal mera suna nahin jata
wo umangen nahin magar 'mahmud'
takna jhankna nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.