gham-e-habib gham-e-do-jahan nahin hota
ġham-e-habīb ġham-e-do-jahāñ nahīñ hotā
agar ḳhulūs-e-vafā be-karāñ nahīñ hotā
diloñ kī aag baḌhāo ki log kahte haiñ
charāġh-e-husn se raushan jahāñ nahīñ hotā
tirī nigāh-e-karam hī kā ye asar to nahīñ
jahāñ meñ ham pe koī mehrbāñ nahīñ hotā
shu.ūr-e-manzil-e-maqsūd bhī hai shart-e-safar
hujūm-e-rāh-ravāñ kārvāñ nahīñ hotā
gham-e-habib gham-e-do-jahan nahin hota
agar KHulus-e-wafa be-karan nahin hota
dilon ki aag baDhao ki log kahte hain
charagh-e-husn se raushan jahan nahin hota
teri nigah-e-karam hi ka ye asar to nahin
jahan mein hum pe koi mehrban nahin hota
shuur-e-manzil-e-maqsud bhi hai shart-e-safar
hujum-e-rah-rawan karwan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.