gham-e-hayat gawara koi to baat karo
ġham-e-hayāt gavārā koī to baat karo
ho zindagī kā sahārā koī to baat karo
tamām ahl-e-ḳhirad chup haiñ aaj mahfil meñ
mile junūñ ko ishārā koī to baat karo
huzūr-e-dost laboñ par hazār pahre the
mirā vujūd pukārā koī to baat karo
bahut ghuTan hai kahīñ dam na ghuT ke rah jaa.e
koī to bolo ḳhudā-rā koī to baat karo
gham-e-hayat gawara koi to baat karo
ho zindagi ka sahaara koi to baat karo
tamam ahl-e-KHirad chup hain aaj mahfil mein
mile junun ko ishaara koi to baat karo
huzur-e-dost labon par hazar pahre the
mera wujud pukara koi to baat karo
bahut ghuTan hai kahin dam na ghuT ke rah jae
koi to bolo KHuda-ra koi to baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.