gham-e-hayat hai fikr-e-maash se logo
ġham-e-hayāt hai fikr-e-ma.āsh se logo
hameñ to sadiyoñ se apnī talāsh hai logo
maiñ pūchhtā nahīñ dair-o-haram ke jhagḌoñ ko
mujhe batāo ye kis kis kī laash hai logo
kisī ke haath meñ haiñ rang-o-nasl ke pate
kisī ke haath meñ maz.hab kā taash hai logo
lahū lahū hai mirī zindagī kā pairāhan
hujūm-e-ġham se jigar pāsh-pāsh hai logo
hamāre dil meñ hai jo kuchh vahī zabān pe hai
hamārā raaz to har ik pe faash hai logo
'umar' ko qatl kiyā hai usī ke bhaa.ī ne
ye hādisa bhī baḌā dil-ḳharāsh hai logo
gham-e-hayat hai fikr-e-maash se logo
hamein to sadiyon se apni talash hai logo
main puchhta nahin dair-o-haram ke jhagDon ko
mujhe batao ye kis kis ki lash hai logo
kisi ke hath mein hain rang-o-nasl ke pate
kisi ke hath mein mazhab ka tash hai logo
lahu lahu hai meri zindagi ka pairahan
hujum-e-gham se jigar pash-pash hai logo
hamare dil mein hai jo kuchh wahi zaban pe hai
hamara raaz to har ek pe fash hai logo
'umar' ko qatl kiya hai usi ke bhai ne
ye hadisa bhi baDa dil-KHarash hai logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.