gham-e-hijran ki mari DhunDhti hai
ġham-e-hijrāñ kī maarī DhūñDhtī hai
havā ḳhushbū tumhārī DhūñDhtī hai
Dagar pe chalne vaalī zindagī bhī
kabhī be-aḳhtyārī DhūñDhtī hai
yakāyak ho gayā hai ḳhauf ruḳhsat
ki ab hirnī shikārī DhūñDhtī hai
ajal ik ālam-e-vahshat meñ raqsāñ
sabhī ko baarī baarī DhūñDhtī hai
parinde khoj meñ nikle hue haiñ
mujhe sub.h-e-bahārī DhūñDhtī hai
gham-e-hijran ki mari DhunDhti hai
hawa KHushbu tumhaari DhunDhti hai
Dagar pe chalne wali zindagi bhi
kabhi be-aKHtyari DhunDhti hai
yakayak ho gaya hai KHauf ruKHsat
ki ab hirni shikari DhunDhti hai
ajal ek aalam-e-wahshat mein raqsan
sabhi ko bari bari DhunDhti hai
parinde khoj mein nikle hue hain
mujhe subh-e-bahaari DhunDhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.