gham-e-hijran se ai jaan-e-jahan hum ban-sanwar nikle
ġham-e-hijrāñ se ai jān-e-jahāñ ham ban-sañvar nikle
sitam terī judā.ī ke sabhī hī be-asar nikle
ḳhudā tere jinheñ apnī ḳhudā.ī par takabbur thā
haTā jo ruḳh se parda to pas-e-parda bashar nikle
magar āsāñ nahīñ the sab bhulā dene ke ranj-o-ġham
gumāñ tere dar-e-dil se lahū meñ Duub kar nikle
jo dikhte the bajā rah par vahī gumrāh the nādāñ
jo bhaTke bhūle lagte the vahī pisar-e-ḳhizar nikle
ki kuchh ghanToñ kī mad.hoshī se kyā hotā hai ai saaqī
pilā aisī ki mad.hoshī meñ hī saarī umar nikle
sajāyā hai jise dil ne laboñ par muskurāhaT meñ
agar bah jaa.e āñkhoñ se to pas ḳhūn-e-jigar nikle
kiyā un ko matā-e-ishq ne har baar phir zinda
jo āshiq dār-e-yārāñ se agar nikle to mar nikle
gham-e-hijran se ai jaan-e-jahan hum ban-sanwar nikle
sitam teri judai ke sabhi hi be-asar nikle
KHuda tere jinhen apni KHudai par takabbur tha
haTa jo ruKH se parda to pas-e-parda bashar nikle
magar aasan nahin the sab bhula dene ke ranj-o-gham
guman tere dar-e-dil se lahu mein Dub kar nikle
jo dikhte the baja rah par wahi gumrah the nadan
jo bhaTke bhule lagte the wahi pisar-e-KHizar nikle
ki kuchh ghanTon ki madhoshi se kya hota hai ai saqi
pila aisi ki madhoshi mein hi sari umar nikle
sajaya hai jise dil ne labon par muskurahaT mein
agar bah jae aankhon se to pas KHun-e-jigar nikle
kiya un ko mata-e-ishq ne har bar phir zinda
jo aashiq dar-e-yaran se agar nikle to mar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.