gham-e-ishq-e-butan hai aur main hun
ġham-e-ishq-e-butāñ hai aur maiñ huuñ
ye jān-e-nā-tavāñ hai aur maiñ huuñ
azal se jo muqaddar ho chukā hai
vo ik soz-e-nihāñ hai aur maiñ huuñ
shab-e-ġham dil ke bahlāne ko hamdam
kisī kī dāstāñ hai aur maiñ huuñ
bas itnā fāsla baaqī hai un se
mohabbat darmiyāñ hai aur maiñ huuñ
gham-e-ishq-e-butan hai aur main hun
ye jaan-e-na-tawan hai aur main hun
azal se jo muqaddar ho chuka hai
wo ek soz-e-nihan hai aur main hun
shab-e-gham dil ke bahlane ko hamdam
kisi ki dastan hai aur main hun
bas itna fasla baqi hai un se
mohabbat darmiyan hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.