gham-e-jaanan jahan likkha gaya hai
ġham-e-jānāñ jahāñ likkhā gayā hai
vahīñ par rā.egāñ likkhā gayā hai
jahāñ ābād hai yādoñ kī bastī
usī ko dasht-e-jāñ likkhā gayā hai
sitam apnoñ ke zāhir ho ga.e haiñ
mirā dard-e-nihāñ likkhā gayā hai
maiñ apne hī muqaddar meñ nahīñ huuñ
mujhe āḳhir kahāñ likkhā gayā hai
tire qurbān merī fikr-e-musbat
nahīñ likhnā thā haañ likkhā gayā hai
vo merī ḳhāmushī se Dar rahe haiñ
jinheñ ahl-e-zabāñ likkhā gayā hai
sila ye tujh meñ rahne kā hai shāyad
mujhe jo be-makāñ likkhā gayā hai
gham-e-jaanan jahan likkha gaya hai
wahin par raegan likkha gaya hai
jahan aabaad hai yaadon ki basti
usi ko dasht-e-jaan likkha gaya hai
sitam apnon ke zahir ho gae hain
mera dard-e-nihan likkha gaya hai
main apne hi muqaddar mein nahin hun
mujhe aaKHir kahan likkha gaya hai
tere qurban meri fikr-e-musbat
nahin likhna tha han likkha gaya hai
wo meri KHamushi se Dar rahe hain
jinhen ahl-e-zaban likkha gaya hai
sila ye tujh mein rahne ka hai shayad
mujhe jo be-makan likkha gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.