gham-e-paiham ki zindagi bhi mili
ġham-e-paiham kī zindagī bhī milī
ġham meñ ik lazzat-e-ḳhafī bhī milī
umr nauha-kunāñ rahī saarī
isī nauhe meñ naġhmagī bhī milī
ġharfashīñ shorisheñ guhār dahāḌ
isī jañgal meñ simfanī bhī milī
ghup añdheroñ kī rahguzāroñ meñ
kabhī chhan-chhan ke chāñdnī bhī milī
ik-na-ik rāsta to sab kā hai
ye na pūchho ki rāstī bhī milī
yuuñ bhī kyā kam the rah-zanān-e-havās
raah meñ bīsvīñ sadī bhī milī
us añdhere kā shukriya jis meñ
ham jo Duube to raushnī bhī milī
ham ne māñgī shaguftagī paa.ī
be-talab phir fasurdagī bhī milī
umr-bhar qist qist marte rahe
mar chuke jab to zindagī bhī milī
gham-e-paiham ki zindagi bhi mili
gham mein ek lazzat-e-KHafi bhi mili
umr nauha-kunan rahi sari
isi nauhe mein naghmagi bhi mili
gharfashin shorishen guhaar dahaD
isi jangal mein simfani bhi mili
ghup andheron ki rahguzaron mein
kabhi chhan-chhan ke chandni bhi mili
ik-na-ik rasta to sab ka hai
ye na puchho ki rasti bhi mili
yun bhi kya kam the rah-zanan-e-hawas
rah mein biswin sadi bhi mili
us andhere ka shukriya jis mein
hum jo Dube to raushni bhi mili
hum ne mangi shaguftagi pai
be-talab phir fasurdagi bhi mili
umr-bhar qist qist marte rahe
mar chuke jab to zindagi bhi mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.