Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-e-ulfat ne lutf-e-zindagi ki aabru rakh li

Mahmood Beg Saaz

gham-e-ulfat ne lutf-e-zindagi ki aabru rakh li

Mahmood Beg Saaz

MORE BYMahmood Beg Saaz

    ġham-e-ulfat ne lutf-e-zindagī aabrū rakh

    ye vo dushman hai jis ne dostī aabrū rakh

    siyah zulfoñ ne lahrā kar nikhārā husn chehre

    añdheroñ ne bikhar kar raushnī aabrū rakh

    hañsī aa to rahī hai dil ke zaḳhmoñ ko ye kyā kam hai

    tire baḳhshe hue ġham ne ḳhushī aabrū rakh

    nigāh-e-nāz ke andāz to dekho ki chupke se

    kisī aabrū le kisī aabrū rakh

    ye merā zarf hai jo maiñ ne kaḌve ghūñT kar bhī

    sar-e-mahfil tirī sāqī-garī aabrū rakh

    na aatī rañg par ye bazm-e-hastī vo to ye kaise

    ki sāz-e-dil ne naġhma-parvarī aabrū rakh

    gham-e-ulfat ne lutf-e-zindagi ki aabru rakh li

    ye wo dushman hai jis ne dosti ki aabru rakh li

    siyah zulfon ne lahra kar nikhaara husn chehre ka

    andheron ne bikhar kar raushni ki aabru rakh li

    hansi aa to rahi hai dil ke zaKHmon ko ye kya kam hai

    tere baKHshe hue gham ne KHushi ki aabru rakh li

    nigah-e-naz ke andaz to dekho ki chupke se

    kisi ki aabru le li kisi ki aabru rakh li

    ye mera zarf hai jo main ne kaDwe ghunT pi kar bhi

    sar-e-mahfil teri saqi-gari ki aabru rakh li

    na aati rang par ye bazm-e-hasti wo to ye kaise

    ki saz-e-dil ne naghma-parwari ki aabru rakh li

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now