gham-e-wafa ko pas-e-pusht Dalna hoga
ġham-e-vafā ko pas-e-pusht Dālnā hogā
khaTak rahā hai jo kāñTā nikālnā hogā
faqīr-e-ishq huuñ kuchh de ke Tālnā hogā
bas ik nigāh kā sikka uchhālnā hogā
savāl dosto azmat kā hai saroñ kā nahīñ
hameñ vaqār kā parcham sambhālnā hogā
ġhazab kī pyaas lagī sāmnā sarāb kā hai
so reg-e-sahrā se paanī nikālnā hogā
use batāo ki faaqa hai aaj apnā bhī
magar faqīr ko izzat se Tālnā hogā
ye intizār salāmat rahe vo aa.egā
magar hai shart ki dil ko sambhālnā hogā
tumhāre dil kī zamīñ jal chukī magar 'aijāz'
isī se naḳhl-e-mohabbat nikālnā hogā
gham-e-wafa ko pas-e-pusht Dalna hoga
khaTak raha hai jo kanTa nikalna hoga
faqir-e-ishq hun kuchh de ke Talna hoga
bas ek nigah ka sikka uchhaalna hoga
sawal dosto azmat ka hai saron ka nahin
hamein waqar ka parcham sambhaalna hoga
ghazab ki pyas lagi samna sarab ka hai
so reg-e-sahra se pani nikalna hoga
use batao ki faqa hai aaj apna bhi
magar faqir ko izzat se Talna hoga
ye intizar salamat rahe wo aaega
magar hai shart ki dil ko sambhaalna hoga
tumhaare dil ki zamin jal chuki magar 'aijaz'
isi se naKHl-e-mohabbat nikalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.