gham-e-zindagi ka to gham nahin ki mujhe ghamon se hi pyar hai
gham-e-zindagi ka to gham nahin ki mujhe ghamon se hi pyar hai
Khalid Koti
MORE BYKhalid Koti
ġham-e-zindagī kā to ġham nahīñ ki mujhe ġhamoñ se hī pyaar hai
tirā ġham bhī mujh ko aziiz hai tire ġham meñ lutf-e-bahār hai
jo udaas aayā koī nazar to ḳhizāñ pukārī ba-chashm-e-tar
mire aane kā koī ġham na kar mire baad fasl-e-bahār hai
tirī bazm-e-mai meñ ba-sad-ḳhushī jo piyā thā bāda-e-ġham kabhī
vahī jaam hai mirī zindagī mujhe aaj tak vo ḳhumār hai
kabhī shikva tere sitam kā hai kabhī shukr tere karam pe hai
rah-o-rasm-e-ishq bhī ḳhuub hai na sukūn hai na qarār hai
na to chheḌ ab mirī dāstāñ mire ham-nafas mire ham-zabāñ
maiñ vahī huuñ 'ḳhālid'-e-ḳhasta-jāñ ki jo zindagī ko bhī baar hai
gham-e-zindagi ka to gham nahin ki mujhe ghamon se hi pyar hai
tera gham bhi mujh ko aziz hai tere gham mein lutf-e-bahaar hai
jo udas aaya koi nazar to KHizan pukari ba-chashm-e-tar
mere aane ka koi gham na kar mere baad fasl-e-bahaar hai
teri bazm-e-mai mein ba-sad-KHushi jo piya tha baada-e-gham kabhi
wahi jam hai meri zindagi mujhe aaj tak wo KHumar hai
kabhi shikwa tere sitam ka hai kabhi shukr tere karam pe hai
rah-o-rasm-e-ishq bhi KHub hai na sukun hai na qarar hai
na to chheD ab meri dastan mere ham-nafas mere ham-zaban
main wahi hun 'KHalid'-e-KHasta-jaan ki jo zindagi ko bhi bar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.