gham hai be-majra kai din se
ġham hai be-mājrā ka.ī din se
jī nahīñ lag rahā ka.ī din se
be-shamīm-o-malāl-o-hairāñ hai
ḳhema-gāh-e-sabā ka.ī din se
dil-mohalle kī us galī meñ bhalā
kyuuñ nahīñ gul machā ka.ī din se
vo jo ḳhushbū hai us ke qāsid ko
maiñ nahīñ mil sakā ka.ī din se
us se bhī aur apne aap se bhī
ham haiñ be-vāsta ka.ī din se
gham hai be-majra kai din se
ji nahin lag raha kai din se
be-shamim-o-malal-o-hairan hai
KHema-gah-e-saba kai din se
dil-mohalle ki us gali mein bhala
kyun nahin gul macha kai din se
wo jo KHushbu hai us ke qasid ko
main nahin mil saka kai din se
us se bhi aur apne aap se bhi
hum hain be-wasta kai din se
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 163)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.