gham juda pesh raha hai mere afkar juda
ġham judā pesh rahā hai mire afkār judā
dil pe ye maar judā rahtī hai vo maar judā
ho ga.ī band jo bīmār-e-mohabbat kī zabāñ
chāra-gar chup haiñ judā mūnis-o-ġham-ḳhvār judā
dil bhī kyā jins hai manhūs vo farmāte haiñ
bechne vaale judā rau meñ ḳharīdār judā
tum agar jaao to vahshat mirī khā jaa.e mujhe
ghar judā khāne ko aa.e dar-o-dīvār judā
maal kā mol hai mauqūf ḳharīdāroñ par
dasht-e-kan.āñ hai judā misr kā bāzār judā
mujh se nārāz haiñ jo log vo ḳhush haiñ un se
maiñ judā chiiz huuñ 'nātiq' mire ash.ār judā
gham juda pesh raha hai mere afkar juda
dil pe ye mar juda rahti hai wo mar juda
ho gai band jo bimar-e-mohabbat ki zaban
chaara-gar chup hain juda munis-o-gham-KHwar juda
dil bhi kya jins hai manhus wo farmate hain
bechne wale juda rau mein KHaridar juda
tum agar jao to wahshat meri kha jae mujhe
ghar juda khane ko aae dar-o-diwar juda
mal ka mol hai mauquf KHaridaron par
dasht-e-kanan hai juda misr ka bazar juda
mujh se naraaz hain jo log wo KHush hain un se
main juda chiz hun 'natiq' mere ashaar juda
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.