gham ka guman yaqin-e-tarab se badal gaya
gham ka guman yaqin-e-tarab se badal gaya
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
ġham kā gumāñ yaqīn-e-tarab se badal gayā
ehsās-e-ishq husn ke sāñche meñ Dhal gayā
saath un ke le rahā huuñ maiñ gul-gasht ke maze
ye ḳhvāb hī sahī mirā jī to bahal gayā
majbūr-e-ishq chashm-e-fusūñ-sāz se huuñ maiñ
jaadū mujhī pe dost kā chalnā thā chal gayā
maiñ intizār-e-eid meñ thā eid aa ga.ī
armān-e-dīd dāman-e-ishrat meñ pal gayā
hai barq-e-jalva yaad magar ye nahīñ hai yaad
ḳhirman mire ġhurūr kā kis vaqt jal gayā
paimān-e-ishq-o-husn kī tajdīd ke sivā
jo bhī ḳhayāl zehn meñ aayā nikal gayā
baḌhte chale haiñ aa.e din asbāb-e-iztirāb
yādash-ba-ḳhair aaj kā va.ada bhī Tal gayā
'manzūr' kis zabāñ se butoñ ko burā kaheñ
īmāñ hamārā kufr ke dāman meñ pal gayā
gham ka guman yaqin-e-tarab se badal gaya
ehsas-e-ishq husn ke sanche mein Dhal gaya
sath un ke le raha hun main gul-gasht ke maze
ye KHwab hi sahi mera ji to bahal gaya
majbur-e-ishq chashm-e-fusun-saz se hun main
jadu mujhi pe dost ka chalna tha chal gaya
main intizar-e-eid mein tha eid aa gai
arman-e-did daman-e-ishrat mein pal gaya
hai barq-e-jalwa yaad magar ye nahin hai yaad
KHirman mere ghurur ka kis waqt jal gaya
paiman-e-ishq-o-husn ki tajdid ke siwa
jo bhi KHayal zehn mein aaya nikal gaya
baDhte chale hain aae din asbab-e-iztirab
yaadash-ba-KHair aaj ka wada bhi Tal gaya
'manzur' kis zaban se buton ko bura kahen
iman hamara kufr ke daman mein pal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.