gham ka juzdan ho gaya hun main
ġham kā juzdān ho gayā huuñ maiñ
apnī pahchān ho gayā huuñ maiñ
ḳhushbūeñ bas ga.iiñ haiñ rag rag meñ
jaise gul-dān ho gayā huuñ maiñ
roz mujh meñ chitāeñ jaltī haiñ
ek shamshān ho gayā huuñ maiñ
koī mujh ko samajh nahīñ paatā
itnā āsān ho gayā huuñ maiñ
Thahartī hī nahīñ koī ḳhvāhish
qasr-e-vīrān ho gayā huuñ maiñ
merī chhoTī sī ik hukūmat hai
jis kā sultān ho gayā huuñ maiñ
Dho rahā huuñ maiñ ḳhud ko kāñdhoñ par
ek shamshān ho gayā huuñ maiñ
mujh kā patthar samajh ke mat toḌo
ab to insān ho gayā huuñ maiñ
gham ka juzdan ho gaya hun main
apni pahchan ho gaya hun main
KHushbuen bas gain hain rag rag mein
jaise gul-dan ho gaya hun main
roz mujh mein chitaen jalti hain
ek shamshan ho gaya hun main
koi mujh ko samajh nahin pata
itna aasan ho gaya hun main
Thaharti hi nahin koi KHwahish
qasr-e-viran ho gaya hun main
meri chhoTi si ek hukumat hai
jis ka sultan ho gaya hun main
Dho raha hun main KHud ko kandhon par
ek shamshan ho gaya hun main
mujh ka patthar samajh ke mat toDo
ab to insan ho gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.