gham ka mara kabhi na ho koi
ġham kā maarā kabhī na ho koī
be-sahārā kabhī na ho koī
jab har ik shaḳhs ho faqat dariyā
jab kinārā kabhī na ho koī
gar kabhī ho to ho faqat tashbīh
isti.āra kabhī na ho koī
kyuuñ bhalā is tarah tabī.at ho
kyuuñ gavārā kabhī na ho koī
tū ki ik umr intizār kare
aur ishāra kabhī na ho koī
is qadar huuñ tahī ḳhudā na kare
jab ḳhasāra kabhī na ho koī
gham ka mara kabhi na ho koi
be-sahaara kabhi na ho koi
jab har ek shaKHs ho faqat dariya
jab kinara kabhi na ho koi
gar kabhi ho to ho faqat tashbih
istiara kabhi na ho koi
kyun bhala is tarah tabiat ho
kyun gawara kabhi na ho koi
tu ki ek umr intizar kare
aur ishaara kabhi na ho koi
is qadar hun tahi KHuda na kare
jab KHasara kabhi na ho koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.