gham ka rishta ajib hota hai
ġham kā rishta ajiib hotā hai
kaun kis kā habīb hotā hai
chāñdnī se jhulas gayā dāman
apnā apnā nasīb hotā hai
aap yūñhī ḳhafā haiñ qismat se
chāñd kis ke qarīb hotā hai
baal is meñ paḌā nahīñ miltā
dil kā shīsha ajiib hotā hai
kyuuñ samajh meñ kabhī nahīñ aatā
vo jo sab se qarīb hotā hai
gham ka rishta ajib hota hai
kaun kis ka habib hota hai
chandni se jhulas gaya daman
apna apna nasib hota hai
aap yunhi KHafa hain qismat se
chand kis ke qarib hota hai
baal is mein paDa nahin milta
dil ka shisha ajib hota hai
kyun samajh mein kabhi nahin aata
wo jo sab se qarib hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.