gham ka tufan aaega maine kabhi socha na tha
ġham kā tūfāñ aa.egā maiñ ne kabhī sochā na thā
sab hī kuchh le jā.egā maiñ ne kabhī sochā na thā
jis ko rakkhā thā hamesha jaan se baḌh kar 'azīz
zaḳhm-e-dil de jā.egā maiñ ne kabhī sochā na thā
muddatoñ ke baa'd achānak is tarah milnā tirā
mujh ko yuuñ taḌpā.egā maiñ ne kabhī sochā na thā
'aish-o-'ishrat jāh-o-mansab ye hukūmat kā ġhurūr
ḳhaak meñ mil jā.egā maiñ ne kabhī sochā na thā
ġham judā.ī kā shab-e-furqat meñ dil par ham-nashīñ
dard ban kar chhā.egā maiñ ne kabhī sochā na thā
gham ka tufan aaega main ne kabhi socha na tha
sab hi kuchh le jaega main ne kabhi socha na tha
jis ko rakkha tha hamesha jaan se baDh kar 'aziz
zaKHm-e-dil de jaega main ne kabhi socha na tha
muddaton ke ba'd achanak is tarah milna tera
mujh ko yun taDpaega main ne kabhi socha na tha
'aish-o-'ishrat jah-o-mansab ye hukumat ka ghurur
KHak mein mil jaega main ne kabhi socha na tha
gham judai ka shab-e-furqat mein dil par ham-nashin
dard ban kar chhaega main ne kabhi socha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.