gham kaisa koi humse jo begana rahega
ġham kaisā koī ham se jo begāna rahegā
dīvāna to har haal meñ dīvāna rahegā
ka.aba hī rahegā na sanam-ḳhāna rahegā
jab tak ki nazar meñ dar-e-jānāñ na rahegā
haañ maiñ ne bahut naqsh-e-vafā chhoḌ diye haiñ
jab maiñ na rahūñgā mirā afsāna rahegā
aayā huuñ tirī bazm se lekin nahīñ aayā
har-vaqt tasavvur meñ parī-ḳhāna rahegā
kaifiyyat-e-sad-sāġhar-e-mai shoḳhī-e-raftār
saaqī hai salāmat to ye mai-ḳhāna rahegā
mai-ḳhāna sahī kuchh bhī yahīñ dil ko sukūñ hai
apnā to yahī mashrab-e-rindāna rahegā
taufīq-e-alam dekh ke ġham dījiye mujh ko
kyā hogā agar zabt kā yaarā na rahegā
jab tak hai 'razā' pīr-e-muġhāñ se mujhe nisbat
gardish meñ isī tarah se paimāna rahegā
gham kaisa koi hum se jo begana rahega
diwana to har haal mein diwana rahega
kaba hi rahega na sanam-KHana rahega
jab tak ki nazar mein dar-e-jaanan na rahega
han main ne bahut naqsh-e-wafa chhoD diye hain
jab main na rahunga mera afsana rahega
aaya hun teri bazm se lekin nahin aaya
har-waqt tasawwur mein pari-KHana rahega
kaifiyyat-e-sad-saghar-e-mai shoKHi-e-raftar
saqi hai salamat to ye mai-KHana rahega
mai-KHana sahi kuchh bhi yahin dil ko sukun hai
apna to yahi mashrab-e-rindana rahega
taufiq-e-alam dekh ke gham dijiye mujh ko
kya hoga agar zabt ka yara na rahega
jab tak hai 'raza' pir-e-mughan se mujhe nisbat
gardish mein isi tarah se paimana rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.