gham kam hain zindagi mein zara aur paliye
ġham kam haiñ zindagī meñ zarā aur pāliye
jo mas.ale nahīñ haiñ unheñ bhī uchhāliye
ik laġhzish-e-qadam bhī kabhī sar uḌā ga.ī
dastār chhoḌ dījiye ḳhud ko sañbāliye
bas haath terā haath meñ aa ne kī der thī
sab mehr-o-māh-o-arz-o-samā ham ne pā liye
raahī ye sañg-e-mīl nahīñ sañg-e-rāh haiñ
but bas ga.e haiñ ka.aba-e-dil meñ nikāliye
ab ke hameñ ishāra-e-anjum na thā koī
khīñche zamīñ ne haath to lañgar uThā liye
sarsabz dasht ḳhauf se ḳhāshāk ho gayā
haiñ mish.aleñ huzūr meñ armāñ nikāliye
gham kam hain zindagi mein zara aur paliye
jo masale nahin hain unhen bhi uchhaaliye
ek laghzish-e-qadam bhi kabhi sar uDa gai
dastar chhoD dijiye KHud ko sanbaaliye
bas hath tera hath mein aa ne ki der thi
sab mehr-o-mah-o-arz-o-sama hum ne pa liye
rahi ye sang-e-mil nahin sang-e-rah hain
but bas gae hain kaba-e-dil mein nikaliye
ab ke hamein ishaara-e-anjum na tha koi
khinche zamin ne hath to langar uTha liye
sarsabz dasht KHauf se KHashak ho gaya
hain mishalen huzur mein arman nikaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.