gham ke baadal bhale hi gahre hon
ġham ke bādal bhale hī gahre hoñ
bas tirī yaad ke ujāle hoñ
ham ko darkār ik tabīb kī hai
aap aa.eñ to ham bhī achchhe hoñ
kaam āsān kar diyā jaa.e
ishq meñ vāpsī ke raste hoñ
in ko bhī apnī jhuriyāñ dikh jaa.eñ
ā.inoñ ke bhī apne chehre hoñ
gham ke baadal bhale hi gahre hon
bas teri yaad ke ujale hon
hum ko darkar ek tabib ki hai
aap aaen to hum bhi achchhe hon
kaam aasan kar diya jae
ishq mein wapsi ke raste hon
in ko bhi apni jhuriyan dikh jaen
aainon ke bhi apne chehre hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.