gham ke maron ka hai sahaara chand
ġham ke māroñ kā hai sahārā chāñd
kitnā achchhā hai kitnā pyārā chāñd
zard chehra hai chāñdnī phīkī
kahīñ furqat kā ho na maarā chāñd
tū har ik kā hai aur kisī kā nahīñ
log kahte raheñ hamārā chāñd
ham jahāñ jaa.eñ jis taraf jaa.eñ
saath rahtā hai ye dil-ārā chāñd
baḌh ga.ī aur dil kī betābī
jaane kyā kar gayā ishārā chāñd
ham tire paas ḳhud chale aa.e
terī duurī nahīñ gavārā chāñd
rāt-bhar saath thā magar 'nādir'
sub.h-dam kar gayā kinārā chāñd
gham ke maron ka hai sahaara chand
kitna achchha hai kitna pyara chand
zard chehra hai chandni phiki
kahin furqat ka ho na mara chand
tu har ek ka hai aur kisi ka nahin
log kahte rahen hamara chand
hum jahan jaen jis taraf jaen
sath rahta hai ye dil-ara chand
baDh gai aur dil ki betabi
jaane kya kar gaya ishaara chand
hum tere pas KHud chale aae
teri duri nahin gawara chand
raat-bhar sath tha magar 'nadir'
subh-dam kar gaya kinara chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.